zamin ke zaKHm ko pahle rafu kiya jae
phir us ke baad darida falak siya jae
hamara aks agar darmiyan na hail ho
to aaine ko gale se laga liya jae
ye zindagi to purani sharab jaisi hai
ye kaDwa ghunT hai lekin ise piya jae
jo raftagan hain unhen lauT kar nahin aana
ab intizar ka bistar uTha diya jae
tumhaari yaad ne shab-KHun marna hai to kya
dil-o-dimagh se pahra haTa diya jae
hamare sar pe jo TuTa hai aasman to kya
ab aasman ko sar par uTha liya jae

Ghazal
Zamin ke zaKHm ko pahle rafu kiya jae
Asif Rasheed Asjad