اردو हिंदी
Zamin ke hath yun apna shikanja kas rahe the | Shaahi Shayari
zamin ke hath yun apna shikanja kas rahe the

Ghazal

Zamin ke hath yun apna shikanja kas rahe the

Manish Shukla

;

zamin ke hath yun apna shikanja kas rahe the
sutun sare mahal ke rafta rafta dhans rahe the

umiden lamha lamha ghaT ke marti ja rahi thin
ajab aaseb se aa kar dilon mein bas rahe the

shajar pe zahr ne ab rang dikhlaya hai apna
ruton ke sanp yun to muddaton se Das rahe the

mera suraj meri aankhon ke aage bujh raha tha
mere sae meri be-chaargi pe hans rahe the

paDe hain waqt ki choTon se ab mismar ho kar
wahi patthar jo apne daur mein paras rahe the

ujaDa kis tarah aandhi ne bedardi se dekho
nagar KHwabon ke kitni hasraton se bas rahe the

uDanon ne kiya tha is qadar mayus un ko
thake-haare parinde jal mein KHud phans rahe the