اردو हिंदी
Zamin ke hath mein hun aur na aasman ke hi | Shaahi Shayari
zamin ke hath mein hun aur na aasman ke hi

Ghazal

Zamin ke hath mein hun aur na aasman ke hi

Khaavar Ejaz

;

zamin ke hath mein hun aur na aasman ke hi
paDa hua hun main aisi jagah pe jaan ke hi

na hum se kahte hain kuchh aur na hum se sunte hain
ye aadmi hain kisi dusre jahan ke hi

tere jahan ke jhagDon mein hath kyun Dalon
mujhe bahut hain bakheDe mere makan ke hi

suna rahi hai jise joD joD kar duniya
tamam TukDe hain wo meri dastan ke hi

tere falak pe hai kya aur bhi koi raushan
chamak rahe hain sitare to KHak-dan ke hi

hamein jo man rahe hain zaban se bhi apni
is intiha pe wo aae hain dil se man ke hi

kisi se koi nahin baz-purs duniya mein
zamana pichhe paDa hai hamari jaan ke hi

to kya tujhe bhi koi aur kaam baqi nahin
jo hum pe rahne lage din ye imtihan ke hi

magar ye qatl ki sazish kahan se aa nikli
wo KHat wo log to the mere KHandan ke hi

so band karna paDa mujh ko karobar-e-hayat
wo aa ke baiTh gaya samne dukan ke hi