zamin kahin hai meri aur aasman kahin
bhaTak raha hun KHalaon ke darmiyan kahin
mera junun hi mera aaKHiri taaruf hai
main chhoD aaya hun apna har ek nishan kahin
isi liye main riwayat se munharif na hua
ki chhoD de na mujhe mera KHandan kahin
likhi gai hai meri fard-e-jurm aur jagah
liye gae hain gawahan ke bayan kahin
hawa-e-tund se laDna meri jibillat hai
Dubo hi de na mujhe ye meri uDan kahin
dil-e-hazin ka ajab haal hai mohabbat mein
koi ghazab hi na Dha de ye na-tawan kahin
main dastan-e-mohabbat ise suna aaya
kahin ka zikr tha lekin kiya bayan kahin
hawa-e-shahr tujhe ras hi nahin 'asif'
misal-e-qais tu sahra mein KHak chhan kahin
Ghazal
Zamin kahin hai meri aur aasman kahin
Asif Shafi