zamin kahin bhi na thi chaar-su samundar tha
kise dikhate baDa haul-nak manzar tha
luDhak ke meri taraf aa raha tha ek patthar
phir ek aur phir ek aur baDa sa patthar tha
fasilen dil ki giraata hua jo dar aaya
wo koi aur na tha KHwahishon ka lashkar tha
bula raha tha koi chiKH chiKH kar mujh ko
kuen mein jhank ke dekha to main hi andar tha
bahut se hath ug aae the meri aankhon mein
har ek hath mein ek nok-dar KHanjar tha
wo jangalon mein daraKHton pe kudte phirna
bura bahut tha magar aaj se to behtar tha
hamare waste 'alwi' ke sher kya kam hain
chalo qubul ki 'ghaalib' baDa suKHan-war tha
Ghazal
Zamin kahin bhi na thi chaar-su samundar tha
Mohammad Alvi