zamin jab bhi hui karbala hamare liye
to aasman se utra KHuda hamare liye
unhen ghurur ki rakhte hain taqat o kasrat
hamein ye naz bahut hai KHuda hamare liye
tumhaare nam pe jis aag mein jalae gae
wo aag phul hai wo kimiya hamare liye
bas ek lau mein usi lau ke gird ghumte hain
jala rakha hai jo us ne diya hamare liye
wo jis pe raat sitare liye utarti hai
wo ek shaKHs dua hi dua hamare liye
wo nur nur damakta hua sa ek chehra
wo aainon mein haya hi haya hamare liye
darud paDhte hue us ki did ko niklen
to subh phul bichhae saba hamare liye
ajib kaifiyat-e-jazb-o-haal rakhti hai
tumhaare shahr ki aab-o-hawa hamare liye
diye jalae hue sath sath rahti hai
tumhaari yaad tumhaari dua hamare liye
zamin hai na zaman nind hai na be-dari
wo chhanw chhanw sa ek silsila hamare liye
suKHan-waron mein kahin ek hum bhi the lekin
suKHan ka aur hi tha zaiqa hamare liye
Ghazal
Zamin jab bhi hui karbala hamare liye
Obaidullah Aleem