zamin hogi kisi qatil ka daman hum na kahte the
akarat jaega KHun-e-shahidan hum na kahte the
ilaj-e-chaak-e-pairahan hua to is tarah hoga
siya jaega kanTon se gareban hum na kahte the
tarane kuchh diye lafzon mein KHud ko qaid kar lenge
ajab andaz se phailega zindan hum na kahte the
koi itna na hoga lash bhi le ja ke dafna de
inhin saDkon pe mar jaega insan hum na kahte the
nazar lipTi hai sholon mein lahu tapta hai aankhon mein
uTha hi chahta hai koi tufan hum na kahte the
chhalakte jam mein bhigi hui aankhen utar aain
sataegi kisi din yaad-e-yaran hum na kahte the
nai tahzib kaise lucknow ko ras aaegi
ujaD jaega ye shahr-e-ghazalan hum na kahte the
Ghazal
Zamin hogi kisi qatil ka daman hum na kahte the
Jaan Nisar Akhtar