اردو हिंदी
Zamin ghubar samundar sahab apni jagah | Shaahi Shayari
zamin ghubar samundar sahab apni jagah

Ghazal

Zamin ghubar samundar sahab apni jagah

Ishrat Zafar

;

zamin ghubar samundar sahab apni jagah
magar main aur mera iztirab apni jagah

hawa ki zad mein hai har chiz KHar-o-KHas ki tarah
kaho paDe rahen chup-chap KHwab apni jagah

agarche bikhri hai rakh us ki mere chaaron taraf
wo lamha ab bhi hai apna jawab apni jagah

mere aqab mein hai aawaza-e-numu ki gunj
hai dasht-e-jaan ka safar kaamyab apni jagah

zaban ko deta hai ehsas-e-tishnagi se najat
wo zaiqa hai sukut-e-sarab apni jagah

na jaane hoga kahan KHema-e-badan 'ishrat'
ki chhoDne ko hai har ek tanab apni jagah