اردو हिंदी
Zamin-e-fikr mein lafzon ke jangal chhoD jaana | Shaahi Shayari
zamin-e-fikr mein lafzon ke jangal chhoD jaana

Ghazal

Zamin-e-fikr mein lafzon ke jangal chhoD jaana

Mubarak Ansari

;

zamin-e-fikr mein lafzon ke jangal chhoD jaana
ghazal mein apni koi sher mohmal chhoD jaana

hain na-manus abhi karb-e-tamasha se nigahen
dayar-e-jaan mein aashob-e-musalsal chhoD jaana

nazar aaen kabhi tahrir mein be-rabt fiqre
kabhi peshani-e-tanqid pe bal chhoD jaana

baDi mushkil se hota hai koi darwesh-KHaslat
miyan aasan nahin kamKHwab-o-maKHmal chhoD jaana

ki ras aata nahin aankhon ko ab shoalon ka mausam
hawaon is taraf bhi la ke baadal chhoD jaana

'mubarak' bas yahi ek aaKHiri KHwahish hai apni
jo mujh ko qatl karna ho to maqtal chhoD jaana