zamin di hai to thoDa sa aasman bhi de
mere KHuda mere hone ka kuchh guman bhi de
bana ke but mujhe binai ka azab na de
ye hi azab hai qismat to phir zaban bhi de
ye kaenat ka phailaw to bahut kam hai
jahan sama sake tanhai wo makan bhi de
main apne aap se kab tak kiya karun baaten
meri zaban ko bhi koi tarjuman bhi de
falak ko chand-sitare nawazne wale
mujhe charagh jalane ko saeban bhi de
Ghazal
Zamin di hai to thoDa sa aasman bhi de
Nida Fazli