اردو हिंदी
Zamin chhoD kar main kidhar jaunga | Shaahi Shayari
zamin chhoD kar main kidhar jaunga

Ghazal

Zamin chhoD kar main kidhar jaunga

Adil Mansuri

;

zamin chhoD kar main kidhar jaunga
andheron ke andar utar jaunga

meri patiyan sari sukhi huin
nae mausamon mein bikhar jaunga

agar aa gaya aaina samne
to apne hi chehre se Dar jaunga

wo ek aankh jo meri apni bhi hai
na aai nazar to kidhar jaunga

wo ek shaKHs aawaz dega agar
main KHali saDak par Thahar jaunga

palaT kar na paya kisi ko agar
to apni hi aahaT se Dar jaunga

teri zat mein sans li hai sada
tujhe chhoD kar main kidhar jaunga