zamin bar-ha badli zaman nahin badla
isi liye to ye mera jahan nahin badla
na aarzu koi badli na meri mahrumi
badal gaya hai rawayya saman nahin badla
udasi aaj bhi waisi hai jaise pahle thi
makin badalte rahe hain makan nahin badla
kabhi charagh kabhi dil jala ke dekh liya
zara sa rang to badla dhuan nahin badla
parinde ab bhi chahakte hain gul mahakte hain
suna hai kuchh bhi abhi tak wahan nahin badla
dilon ka dard kisi taur kam nahin hoga
agar tasawwur-e-sud-o-ziyan nahin badla
Ghazal
Zamin bar-ha badli zaman nahin badla
Obaid Siddiqi