zamin apne lahu se aashna hone hi wali hai
bahut kuchh ho chuka ab intiha hone hi wali hai
sawa neze pe suraj aa gaya ab dekhiye kya ho
qayamat ek do pal mein bapa hone hi wali hai
meri aankhon talak shoala lahu ka aan pahuncha hai
ye talKHi ab zaban ka zaiqa hone hi wali hai
bahut din jagte KHwabon ko aankhon se lagaya hai
ye qurbat kuchh dinon tak fasla hone hi wali hai
wahi gandum ka dana hai wahi hain is pe taziren
main Darta hun ki phir mujh se KHata hone hi wali hai
yahan se rasta koi kisi jaanib nahin jata
yahin se ek safar ki ibtida hone hi wali hai
khule the muddaton se be-sabab aankhon ke darwaze
ye basti aaj kal mein be-sada hone hi wali hai
mere ghar tak bhi aa pahuncha hai aaKHir shor galiyon ka
ye tanhai mere dil se juda hone hi wali hai
gae-guzre dinon ki dhul ab aankhon se dho Dalo
koi surat kahin se runuma hone hi wali hai
sitare KHak-e-pa-e-admiyat banne wale hain
ye miTTi ab mere sar ki rida hone hi wali hai
badalne ke liye betab hai 'shahzad' ye duniya
rawa jo chiz tha ab na-rawa hone hi wali hai
Ghazal
Zamin apne lahu se aashna hone hi wali hai
Shahzad Ahmad