اردو हिंदी
Zamin apne hi mehwar se haT rahi hogi | Shaahi Shayari
zamin apne hi mehwar se haT rahi hogi

Ghazal

Zamin apne hi mehwar se haT rahi hogi

Dilawar Ali Aazar

;

zamin apne hi mehwar se haT rahi hogi
wo din bhi dur nahin zist chhaT rahi hogi

baDha raha hai ye ehsas meri dhaDkan ko
ghaDi mein sui ki raftar ghaT rahi hogi

main jaan lunga ki ab sans ghuTne wala hai
hare daraKHt se jab shaKH kaT rahi hogi

nae safar pe rawana kiya gaya hai tumhein
tumhaare panw se dharti lipaT rahi hogi

ghalat kaha tha kisi ne ye ganw walon se
chalo ki shahr mein KHairaat baT rahi hogi

falak ki samt uchhaali thi jal-pari main ne
sitare hath mein le kar palaT rahi hogi

badan mein phail rahi hai ye kaenat 'azar'
hamari aankh ki putli simaT rahi hogi