zamanon ke KHarabon mein utar kar dekh leta hun
purane jangalon mein bhi samundar dekh leta hun
jo tufanon ke Dar se paniyon mein sar chhupati hain
main aisi sipiyon mein koi gauhar dekh leta hun
hamesha KHauf ke narghe mein rahta hun magar phir bhi
ababilon ki minqaron mein lashkar dekh leta hun
wo dehaton ke raste hon ki hon footpath shahron ke
jahan par raat paD jae wahan ghar dekh leta hun
bahut si KHwahishon ko main panapne hi nahin deta
magar un ki nigahon mein soyambar dekh leta hun
Ghazal
Zamanon ke KHarabon mein utar kar dekh leta hun
Saqi Faruqi