zamane Thik hai in se bahut hue raushan
magar charagh kahan KHud ko kar sake raushan
sabhi ke zehn mein us ka KHayal rahta hai
us ek nur se hai kitne aaine raushan
abhi to hum ko kai roz jagmagana hai
hamin hai dasht mein ek aaKHiri diye raushan
mahak usi ki meri rahnumai karti hai
usi ki chap se hote hain raste raushan
hum ek umr se tarikiyon mein simTe the
jab us ne chhu liya to hum bhi ho gae raushan
kisi ka aks mujhe KHwab mein dikha tha kabhi
tamam umr rahe mere rat-jage raushan
ye aadhi raat ko dastak si kis ne di dil par
ye kis ne kar diye har samt qumqume raushan
hum ek ruKH se andhere mein aa gae lekin
kai ruKHon se hamare hain silsile raushan
chalo 'dinesh' ab is dil se un ka nur gaya
talashte hain ilaqe bache-khuche raushan
Ghazal
Zamane Thik hai in se bahut hue raushan
Dinesh naaidu