اردو हिंदी
Zamane phir nae sanche mein Dhalne wala hai | Shaahi Shayari
zamane phir nae sanche mein Dhalne wala hai

Ghazal

Zamane phir nae sanche mein Dhalne wala hai

Waheed Quraishi

;

zamane phir nae sanche mein Dhalne wala hai
zara Thahar ki natija nikalne wala hai

abhi hujum-e-azizan hai zer-e-taKHt-e-murad
magar zamana chalan to badalne wala hai

hui hai naqa-e-laila ko sarban ki talash
julus shahr ki galiyon mein chalne wala hai

zamir apni tamanna ko phir ugal dega
samundaron se ye sona uchhalne wala hai

naya azab nai subhon ki talash mein hai
ye mulk phir naya qatil badalne wala hai

sada-e-subh-e-bashaarat KHabar sunaegi
sulag raha hai jo sina wo jalne wala hai

nae azab ki aamad hai aur hum hain 'wahid'
azab-e-daura-e-hazir to Talne wala hai