zamane ho gae tere karam ki aas lagi
qarib-e-mai-kada sahra si mujh ko pyas lagi
lahu rulate hain mujh ko suhawne manzar
chaTakti chandni tere bina udas lagi
na us mein mai hai na pani to pyas kaise bujhe
ye zindagi mujhe TuTa hua gilas lagi
ye garm garm se aansu bata rahe hain yahi
zarur aag kahin dil ke aas-pas lagi
yahan to koi bhi malik nahin mere sahab
tamam KHalq mujhe KHwahishon ki das lagi
jahez nam hi se rang uD gaya us ka
gharib bap ki beTi jahan-shanas lagi
kaDakti dhup mein chal to paDi dulhan 'hasrat'
qadam qadam pe use raste mein pyas lagi
Ghazal
Zamane ho gae tere karam ki aas lagi
Ajeet Singh Hasrat