اردو हिंदी
Zamane-bhar se juda aur ba-kamal koi | Shaahi Shayari
zamane-bhar se juda aur ba-kamal koi

Ghazal

Zamane-bhar se juda aur ba-kamal koi

Ambar Kharbanda

;

zamane-bhar se juda aur ba-kamal koi
mere KHayalon mein rahta hai be-misal koi

na jaane kitni hi raaton ka jagna Thahra
mere wajud se uljha hai jab KHayal koi

tumhin batao ki phir guftugu se kya hasil
jawab hone ki zid kar le jab sawal koi

karam ke baKHsh diya tu ne mushkilon ka pahaD
ab is pahaD se rasta magar nikal koi

guzarne the yahi chaar din guzar diye
na koi ranj na shikwa na ab malal koi

hamare sath duaen bahut thin apnon ki
kabhi sukun se guzra magar na sal koi