zamane-bhar mein koi bhi wafa-sipas nahin
KHuda-shanas bahut hain ada-shanas nahin
meri nazar ka har andaz hai jamal-agin
mere junun ka koi marhala udas nahin
mere KHayal ki ranginiyan hain la-mahdud
ye qaid-o-band shab-o-roz mujh ko ras nahin
kuchh is ada se main khoya gaya mohabbat mein
zamana bit gaya hai baja hawas nahin
dar-e-jamal pe mazhar sujud kya mani
waqar-e-ishq shanasa-e-iltimas nahin

Ghazal
Zamane-bhar mein koi bhi wafa-sipas nahin
Syed Mazhar Gilani