اردو हिंदी
Zamane bhar ka jo fitna raha tha | Shaahi Shayari
zamane bhar ka jo fitna raha tha

Ghazal

Zamane bhar ka jo fitna raha tha

Anjum Abbasi

;

zamane bhar ka jo fitna raha tha
wahi to ganw ka mukhiya bana tha

meri shohrat ke parcham uD rah the
magar main dhup mein tanha khaDa tha

hazaron raaz the poshida mujh mein
main apne aap se chhup kar khaDa tha

bahut se log us ko dekhte the
wo unche peD par baiTha hua tha

purana tha madari ka tamasha
magar wo bhiD thi rasta uDa tha

fasadi the mere hi ghar mein 'anjum'
main un ko shahr bhar mein DhunDhta tha