zamana kya dekhiye dikhae na jaane kya inqilab aae
falak ke tewar hain KHashm-gin se zamin ke dil mein ghubar sa hai
kamal-e-diwangi to jab hai rahe na ehsas-e-jaib-o-daman
agar hai ehsas-e-jaib-o-daman to phir junun hoshiyar sa hai
kuchh aaj aisi hi ji pe guzri dabi hui thi jo choT ubhri
jise sambhaale hua tha dil mein wo nala be-iKHtiyar sa hai
Ghazal
Zamana kya dekhiye dikhae na jaane kya inqilab aae
Nihal Sevharvi