zamana kuchh bhi kahe teri aarzu kar lun
shab-e-siyah mein suraj ki justuju kar lun
mere KHuda mujhe taufiq sar-kashi dide
KHizan hai samne kuchh zikr-e-rang-o-bu kar lun
agar ho mujh ko mayassar kahin se koi kiran
to shab-darida hai jo kuchh use rafu kar lun
jo aankh khol dun sun kar zamir ki dastak
tu KHud ko apni nazar mein main surKH-ru kar lun
hua hai kitne dinon baad rabta qaem
ab apne aap se 'rashid' main guftugu kar lun
Ghazal
Zamana kuchh bhi kahe teri aarzu kar lun
Arshad Kamal