zamana KHuda ko KHuda jaanta hai
yahi jaanta hai to kya jaanta hai
isi mein dil apna bhala jaanta hai
ki ek naKHuda ko KHuda jaanta hai
wo kyun sar khapae teri justuju mein
jo anjam-e-fikr-e-rasa jaanta hai
KHuda aise bande se kyun phir na jae
jo baiTha dua mangna jaanta hai
zahe sahw-e-katib ki sara zamana
mujhi ko sarapa KHata jaanta hai
anokha gunahgar ye sada insan
nawishte ko apna kiya jaanta hai
'yagana' tu hi jaane apni haqiqat
tujhe kaun tere siwa jaanta hai
Ghazal
Zamana KHuda ko KHuda jaanta hai
Yagana Changezi