zamana ho gaya hai KHwab dekhe
lahu mein dard ka shab-tab dekhe
manazir ko bahut muddat hui hai
nigahon mein naya ek bab dekhe
sitara sham ko jab aankh khole
achanak chand ko payab dekhe
wo chingari si de qurbat ki mujh ko
to phir suraj ki aab-o-tab dekhe
kai raaten huin khiDki mein ghar ki
talluq ka naya mahtab dekhe
main lafzon ki nai faslen ugaun
wo sannaTon ke taza KHwab dekhe
meri aankhon mein sawan rang bhar de
mujhe ai kash wo sairab dekhe
na wo aawargi ka shauq 'ahmad'
na koi dasht ko betab dekhe
Ghazal
Zamana ho gaya hai KHwab dekhe
Ahmad Shanas