اردو हिंदी
Zamana hech hai uski nigah mein ai dost | Shaahi Shayari
zamana hech hai uski nigah mein ai dost

Ghazal

Zamana hech hai uski nigah mein ai dost

Manzoor Ahmad Manzoor

;

zamana hech hai us ki nigah mein ai dost
jo aa gaya tere gham ki panah mein ai dost

jhalak rahi hai jo chashm-e-siyah mein ai dost
wo mauj-e-nur kahan mehr-o-mah mein ai dost

lahu jo sina-e-dahqan se bund bund gira
chamak raha hai wahi taj-e-shah mein ai dost

sanam-kade mein bhi jis shirk ko aman na mili
farogh par hai wahi KHanqah mein ai dost

sukun-e-dil bhi ajab chiz hai ki us ke tufail
jabin pe nur hai haal-e-tabah mein ai dost

na mujtahid hai na sufi magar tera 'manzur'
aziz-tar hai jahan ki nigah mein ai dost