zamana hai ki guzra ja raha hai
ye dariya hai ki bahta ja raha hai
wo uTThe dard uTTha hashr uTTha
magar dil hai ki baiTha ja raha hai
lagi thi un ke qadmon se qayamat
main samjha sath saya ja raha hai
zamane par hanse koi ki roe
jo hona hai wo hota ja raha hai
mere dagh-e-jigar ko phul kah kar
mujhe kanTon mein khincha ja raha hai
bahaar aai ki din holi ke aae
gulon mein rang khela ja raha hai
rawan hai umr aur insan ghafil
musafir hai ki sota ja raha hai
sar-e-mayyat hai ye ibrat ka nauha
mohabbat ka janaza ja raha hai
'jalil' ab dil ko apna dil na samjho
koi kar ke ishaara ja raha hai
Ghazal
Zamana hai ki guzra ja raha hai
Jaleel Manikpuri