zamana ab ye kaisa aa raha hai
ki har badmast sambhla ja raha hai
jalati hai KHirad shamon pe shamen
andhera hai ki baDhta ja raha hai
duaen kar rahe hain ahl-e-sahil
safina hai ki Duba ja raha hai
magar baDhti nahin hai baat aage
zamana hai ki guzra ja raha hai
bhara tha rang jis KHake mein barson
wo KHaka yak ba yak dhundla raha hai
mohabbat aap hi manzil hai apni
na jaane husn kyun itra raha hai
main KHud taswir banta ja raha hun
tasawwur mein mere kaun aa raha hai
kisi se phir mohabbat ho rahi hai
mujhe phir pyar dil par aa raha hai
nigah-e-ishq ki wusat na puchho
jahan-e-husn simTa ja raha hai
juda us ko na samjho karwan se
'imam' ek bankpan se aa raha hai
Ghazal
Zamana ab ye kaisa aa raha hai
Mazhar Imam