zaman makan the mere samne bikharte hue
main Dher ho gaya tul-e-safar se Darte hue
dikha ke lamha-e-KHali ka aks-e-la-tafsir
ye mujh mein kaun hai mujh se farar karte hue
bas ek zaKHm tha dil mein jagah banata hua
hazar gham the magar bhulte-bisarte hue
wo TuTte hue rishton ka husn-e-aKHir tha
ki chup si lag gai donon ko baat karte hue
ajab nazara tha basti ka us kinare par
sabhi bichhaD gae dariya se par utarte hue
main ek hadsa ban kar khaDa tha raste mein
ajab zamane mere sar se the guzarte hue
wahi hua ki takalluf ka husn bich mein tha
badan the qurb-e-tahi-lams se bikharte hue
Ghazal
Zaman makan the mere samne bikharte hue
Rajinder Manchanda Bani