zaKHmon ko mere rang hina de gai saba
chaha tha kya bahaar mein kya de gai saba
parwaz kar rahi hai KHalaon mein ruh bhi
apne mariz-e-gham ko shifa de gai saba
dasht-e-junun ko gard uDi aur jam gai
uryan tha mera jism qaba de gai saba
dil ko uDa ke le gai manind-e-bu-e-gul
kanTon pe loTne ki saza de gai saba
ye barq ye hawadis-e-dauran fuzul hain
meri fana ko rang-e-baqa de gai saba
TuTa na phir bhi us ke KHayalon ka silsila
dil ke qarib aa ke sada de gai saba
'sailani' us bahaar mein jate hue hamein
murjhae gul ghamon ki rida de gai saba

Ghazal
ZaKHmon ko mere rang hina de gai saba
Sailani Sevte