zaKHmon ko mere dil ke sajao to bane baat
ye kaam hamein kar ke dikhao to bane baat
kyun bahr-etamanna mein nahin koi bhi halchal
tufan koi us mein jagao to bane baat
jine ke liye un ka tasawwur bhi bahut hai
be-as hamein ji ke batao to bane baat
jalne ko to yun KHun bhi jal jaega lekin
pani mein zara aag lagao to bane baat
duniya mein talab hi ka tamasha to laga hai
mansur hamein ban ke dikhao to bane baat
girti hui diwar ka saya na batao
phir se nai diwar uThao to bane baat
Ghazal
ZaKHmon ko mere dil ke sajao to bane baat
Ehsan Jafri