zaKHmon ko kureda hai to mazi nikal aaya 
sukhe hue dariyaon se pani nikal aaya 
us shaKHs ko paDhne mein baDi chuk hui thi 
wo dost tha jo dushman-e-jaani nikal aaya 
tishna the bahut dhup mein bhige hue manzar 
kal raat to suraj se hi pani nikal aaya 
jo shaKHs nahin jaanta islam ke mani 
hairat hai ki islam ka dai nikal aaya 
go us ne ghazal apne buDhape mein kahi hai 
ghazlon mein magar rang-e-jawani nikal aaya
        Ghazal
ZaKHmon ko kureda hai to mazi nikal aaya
Nadeem Mahir

