zaKHmi dilon ki pyas sarabon mein gum hui
jo chashm wa thi bujhte charaghon mein gum hui
phirti hai us ko DhunDti ab maut ku-ba-ku
ye zindagi to teri nigahon mein gum hui
chalna likha hai apne muqaddar mein umr bhar
manzil hamari dard ki rahon mein gum hui
hum DhunDne chale hain kahan paikar-e-KHayal
chashm-e-hawas to gum-shuda KHwabon gum hui
KHushbu ne rasta chhoD diya intizar ka
miTTi mein KHufta bikhre gulabon mein gum hui
auraq ke palaTne se kuchh bhi nahin mila
danish hamari sari kitabon mein gum hui
'mamun' zauq-e-ishq se milta bhi kya hamein
aab-e-rawan ki mauj kitabon mein gum hui
Ghazal
ZaKHmi dilon ki pyas sarabon mein gum hui
Khaleel Mamoon