zaKHm thoDi si KHushi de ke chale jate hain
KHushk aankhon ko nami de ke chale jate hain
roz aate hain ujale mere andhe ghar mein
roz ek tira-shabi de ke chale jate hain
in kirae ke gharon se to main be-ghar achchha
nit-nai dar-badri de chale jate hain
zaiqa muddaton rahta hai mere honTon par
wo zara si jo hansi de ke chale jate hain
shab-gizari ke liye raushni mangun jin se
wo charagh-e-sahari de ke chale jate hain
iKHtilafat usi mausam-e-gul se hain jo 'shad'
KHar-baKHton ko kali de ke chale jate hain
Ghazal
ZaKHm thoDi si KHushi de ke chale jate hain
Mushtaq Shad