zaKHm sine ka phir ubhar aaya
yaad bhar koi chaara-gar aaya
mujh ko baKHshi KHuda ne ek beTi
chand aangan mein ek utar aaya
KHush nasibon ko ghar mila yaro
mere hisse mein phir safar aaya
tum taghayyur ki baat par Thahre
main salibon se baat kar aaya
apni tahzib ko nahin chhoDa
ye bhi ilzam mere sar aaya
ek kali khil ke phul mein badli
ek bhanwra bhi phul par aaya
par utra ufuq ke suraj to
phir musafir ko yaad ghar aaya
dosti dhup se hi kar li jab
rah mein tab ghana shajar aaya
dil to 'shayan' TuTna hi tha
us ka kirdar bhi nazar aaya
Ghazal
ZaKHm sine ka phir ubhar aaya
Shayan Quraishi