zaKHm purane phul sabhi basi ho jaenge
dard ke sab qisse yaad-e-mazi ho jaenge
sansen leti taswiron ko chup lag jaegi
sare naqsh karishmon se aari ho jaenge
aankhon se masti na labon se amrit Tapkega
shisha-o-jam sharabon se KHali ho jaenge
khuli chhaton se chandni raaten katra jaengi
kuchh hum bhi tanhai ke aadi ho jaenge
kucha-e-jaan par gahre baadal chhae rahenge 'zeb'
us ki khiDki ke parde bhaari ho jaenge
Ghazal
ZaKHm purane phul sabhi basi ho jaenge
Zeb Ghauri