zaKHm kuchh aise mere qalb-o-jigar ne pae
umr bhar jo kisi unwan na bharne pae
hum ne ashkon ke charaghon se saja lin palken
ki tere dard ki baraat guzarne pae
us se kya puchhte ho falsafa-e-maut-o-hayat
ki jo zinda bhi rahe aur na marne pae
is liye kam-nazari ka bhi sitam sahna paDa
tujh pe mahfil mein koi nam na dharne pae
pas-e-adab-e-wafa tha ki shikasta-pai
be-KHudi mein bhi na hum had se guzarne pae
apne jazbaat ke biphre hue tufan mein 'raza'
is tarah Dube ki phir hum na ubharne pae
Ghazal
ZaKHm kuchh aise mere qalb-o-jigar ne pae
Raza Hamdani