اردو हिंदी
ZaKHm koi ek baDi mushkil se bhar jaane ke baad | Shaahi Shayari
zaKHm koi ek baDi mushkil se bhar jaane ke baad

Ghazal

ZaKHm koi ek baDi mushkil se bhar jaane ke baad

Javed Shaheen

;

zaKHm koi ek baDi mushkil se bhar jaane ke baad
mil gaya wo phir kahin dil ke Thahar jaane ke baad

main ne wo lamha pakaDne mein kahan taKHir ki
sochta rahta hun ab us ke guzar jaane ke baad

kaisa aur kab se talluq tha hamara kya kahun
kuchh nahin kahne ko ab us ke mukar jaane ke baad

mil raha hai subh ke tare se jata mahtab
raat ke tarik zine se utar jaane ke baad

kya karun aaKHir chalana hai mujhe kar-e-jahan
jama KHud ko kar hi leta hun bikhar jaane ke baad

zaKHm ek aisa hai jis par kaam ab karta nahin
waqt ka marham zara sa kaam kar jaane ke baad

chup hain yun chizen ki khul kar sans bhi leti nahin
jaise ek sadme ki haalat mein hun Dar jaane ke baad

hain nawah-e-dil mein 'shahin' kuchh nashebi bastiyan
Dubta rahta hun un mein pani bhar jaane ke baad