zaKHm khate hain ji jalate hain
hum kahan aise baz aate hain
zindagi rose ghaTti jati hai
masale rose baDhte jate hain
ab kahan bhut aur balaen rahin
aadmi aadmi ko khate hain
ek wo hum se dur rah ke bhi KHush
ek hum apna dil jalate hain
KHak se KHak bhi nahin milti
rose hum KHak chhan aate hain
mausam-e-na-rasai aaya hai
sabr ki fasl ab ugate hain
Ghazal
ZaKHm khate hain ji jalate hain
Waqar Khan