اردو हिंदी
ZaKHm khane se ya koi dhoka khane se hua | Shaahi Shayari
zaKHm khane se ya koi dhoka khane se hua

Ghazal

ZaKHm khane se ya koi dhoka khane se hua

Javed Shaheen

;

zaKHm khane se ya koi dhoka khane se hua
baat kya thi main KHafa jis par zamane se hua

ek pal mein ek jagah se itna raushan aasman
koi tara bante bante TuT jaane se hua

sochta rahta hun main aksar ki aaghaz-e-jahan
din banane se ki pahle shab banane se hua

main ghalat ya tum ghalat the chhoDo ab is baat ko
hona tha jo kuchh wo jaise ek bahane se hua

kuchh zamane ki rawish ne saKHt mujh ko kar diya
aur kuchh bedard main us ko bhulane se hua

baat sari asl mein ye thi main us se bad-guman
ek talluq mein kahin pe shak ke aane se hua

bach hi nikla hun main jaDe ki baDi yalghaar se
garm ab ke ghar badan ka KHas jalane se hua

kya kahun meri giraftari ka koi ehtimam
kaise zer-e-dam rakkhe ek dane se hua

umr bhar ka ye jo hai 'shahin' KHasara ye mujhe
ek saude mein koi neki kamane se hua