zaKHm ke phul se taskin talab karti hai
baz auqat meri ruh ghazab karti hai
jo teri zulf se utre hon mere aangan mein
chandni aise andheron ka adab karti hai
apne insaf ki zanjir na dekho ki yahan
muflisi zehan ki fariyaad bhi kab karti hai
sehn-e-gulshan mein hawaon ki sada ghaur se sun
har kali matam-e-sad-jashn-e-tarab karti hai
sirf din Dhalne pe mauquf nahin hai 'mohsin'
zindagi zulf ke sae mein bhi shab karti hai
Ghazal
ZaKHm ke phul se taskin talab karti hai
Mohsin Naqvi