zaKHm ka jo marham hote hain
log aise ab kam hote hain
suraj Dub ke phir ubhrega
kyun itne matam hote hain
kamsin lafzon ke sinon mein
gahre matlab kam hote hain
lamha lamha umr KHushi ki
sadiyan sadiyan gham hote hain
pahle aap samundar se
dariya KHud hi zam hote hain
Ghazal
ZaKHm ka jo marham hote hain
Zahid Kamal