zaKHm ka indimal hote hue
main ne dekha kamal hote hue
hijr ki dhup kyun nahin Dhalti
jashn-e-sham-e-visal hote hue
de gai mustaqil KHalish dil ko
aarzu paemal hote hue
log jite hain jina chahte hain
zindagani wabaal hote hue
kis qadar iKHtilaf karta hai
wo mera ham-KHayal hote hue
pa-e-ilzam aa rukin mujh par
sari aankhen sawal hote hue
aaj bhi log ishq karte hain
samne ki misal hote hue
KHud se hans kar na mil sake 'ahmad'
KHush-suKHan KHush-KHisal hote hue
Ghazal
ZaKHm ka indimal hote hue
Mohammad Ahmad