zaKHm hai aur namak fishani hai
dosti dushmani-e-jaani hai
naqsh-e-awwal hai chehra-e-yusuf
aur tera chehra naqsh-e-sani hai
tere kuche se mane-e-raftar
hum ko apni hi na-tawani hai
husn mein chehra us gul-e-tar ka
naqsh-e-rangin-e-kilk-e-mani hai
us pe parwane go hujum karen
shama ki wo hi kam-zabani hai
is sara mein sabhi musafir hain
yani jo hai so karwani hai
aalam us ki safa ka mujh se na puchh
nazm mein teri jo rawani hai
'mushafi' sher-e-sada kahne mein
waqt ka apne to fughani hai
Ghazal
ZaKHm hai aur namak fishani hai
Mushafi Ghulam Hamdani