zaKHm-e-ulfat ayan nahin hota
aankh se KHun rawan nahin hota
husn ko sirf wahm hai warna
ishq to bad-guman nahin hota
koi manzil bhala qadam chume
azm jab tak jawan nahin hota
dekhiye to naqab ulaT ke zara
chand kab tak ayan nahin hota
dekh kar gham-zada se kuchh chehre
dard-e-dil kyun ayan nahin hota
koh-o-sahra ho dasht-e-aiman ho
guzar apna kahan nahin hota
phul kaise wahan na KHar lagen
zikr tera jahan nahin hota
main to kya dil bhi mera us ka hai
jo kabhi mehrban nahin hota
zor-e-tufan hai dur sahil hai
naKHuda mehrban nahin hota
raaz-dan kis ko kis tarah samjhun
raaz-e-dil to bayan nahin hota
sheriyat sher mein ho kaise 'nazir'
zehn jab tak rawan nahin hota
Ghazal
ZaKHm-e-ulfat ayan nahin hota
Nazeer Rampuri