zaKHm-e-dil ho agar hara rakhna
husn walon se fasla rakhna
dosti pyar mein badal jae
milne-julne ka silsila rakhna
zindagi ki duaen yun dena
zahr ke sath hi dawa rakhna
dur jaana hai to chale jao
lauT aane ka rasta rakhna
jit jaane ka shauq hai tum ko
haarne ka bhi hausla rakhna
rasta jo bhi iKHtiyar karo
apni manzil ko aaina rakhna
har kisi mein hunar nahin hota
apne lahje mein ek ada rakhna
chahte ho jo pyar apno se
dur rishton se tum ana rakhna
shor barpa hai dil ke 'sagar' mein
aaj mushkil hai gham chhupa rakhna

Ghazal
ZaKHm-e-dil ho agar hara rakhna
Roop Sagar