zaKHm-e-dil hum dikha nahin sakte
dil kisi ka dukha nahin sakte
wo yahan tak jo aa nahin sakte
kya mujhe bhi bula nahin sakte
wada bhi hai to hai qayamat ka
jis ko hum aazma nahin sakte
aap bhi bahr-e-ashk hain goya
aag dil ki bujha nahin sakte
un se ummid-e-wasl ai tauba
wo to surat dikha nahin sakte
un ko ghunghaT uThane mein kya uzr
hosh mein hum jo aa nahin sakte
mangte maut ki dua lekin
hath dil se uTha nahin sakte
un ko dawa-e-yusufi 'asi'
KHwab mein bhi jo aa nahin sakte
Ghazal
ZaKHm-e-dil hum dikha nahin sakte
Aasi Ghazipuri