zaKHm-e-dil bhi dikha ke dekh liya 
bas tumhein aazma ke dekh liya 
dagh-e-dil se bhi raushni na mili 
ye diya bhi jala ke dekh liya 
shikwe miTte hain kyunkar aap se aap 
samne un ke ja ke dekh liya 
muzhda ai hasrat-e-dil-e-pur-shauq 
us ne phir muskura ke dekh liya 
aabru aur bhi hui pani 
ashk-e-hasrat baha ke dekh liya 
tark-e-ulfat ke sun liye ilzam 
raaz-e-dil ko chhupa ke dekh liya 
jo na dekha tha aaj tak hum ne 
dil ki baaton mein aa ke dekh liya 
koi apna nahin yahan ai 'arsh' 
sab ko apna bana ke dekh liya
        Ghazal
ZaKHm-e-dil bhi dikha ke dekh liya
Arsh Malsiyani

