zaKHm-e-dil aur hara KHun-e-tamanna se hua
tishnagi ka meri aaghaz hi dariya se hua
chubh gai halq mein kanTon ki tarah pyas meri
dasht sairab mere aabla-e-pa se hua
dil-e-zinda ko chuna dard ki diwaron mein
rok leti mujhe itna bhi na duniya se hua
sar mein sauda tha magar panw mein zanjir na thi
KHak uData raha mansub na sahra se hua
pher din kis ne salaKHen si meri aankhon mein
kaun angusht-numa taq-e-tamasha se hua
dur ja kar meri aawaz suni duniya ne
fan ujagar mera aaina-e-farda se hua
bu mizajon se gai rang uDe chehron ke
KHush yahan kaun mere dida-e-bina se hua
ajnabi sa nazar aaya hun 'muzaffar' KHud ko
be-takalluf jo main is ahd-e-shanasa se hua

Ghazal
ZaKHm-e-dil aur hara KHun-e-tamanna se hua
Muzaffar Warsi