zaKHm-e-dil ab phul ban kar khil gaya
hasil-e-gham aaj mujh ko mil gaya
aaj tak chalta raha jo sath sath
jaane ab wo kaun si manzil gaya
DhunDhti phirti thi jis ko zindagi
maut ke pahlu mein soya mil gaya
qatl kar ke mujh ko be-rahmi ke sath
ghar talak rota hua qatil gaya
aabla-pa kaun aaya tha idhar
sang-e-rah bhi phul ban kar khil gaya
Dubne walon se rishta joDne
dur tak bahta hua sahil gaya
shoala-e-jaan ka bhaDakna dekh kar
achchhe-achchhon ka kaleja hil gaya
Ghazal
ZaKHm-e-dil ab phul ban kar khil gaya
Shola Haspanvi